Mujhe Lucknow ke naam se hi mohabbat hai: Irshad Kamil

Lucknow | Monday | 29th May, 2017

Summary:

Pehle mujhe pata toh hona chahiye woh qirdaar kaun hai jiske liye mein likh raha hun, woh kis tarah ki baat kar raha hai, uska kis tarha se lehja rehta hai baat karne ka, uski bhaasha kya hai, woh uss time pe kya soch raha hai. Mujhe is sheher ke naam se hi mohabbaat hai aur ispe likhi bahut si kitaabein mere paas maujood hain. Jab aap emotional baat karte hain, woh bhale hi ladki kare ya ladka, usko feel karne ka tarika ek hi hota hai. Maan lijiye agar mein 'Tamasha' ke Ved ke liye gaana likh raha hoon, toh mein Ved ho gaya hoon. Toh asal main jo humare paas rehte hain, hamari feelings ko jo poori tarah se underline karte hain, woh shabd hi hote hain..